Benan- Insaan
Yeh Kaisi khalak hai yeh kaise jahan hai,
Mahaz aak number ban kar reh giya insan hai
Akhbar ke panne karte hai numberon ki bate
Nam se na koi matlab reh gaya hai
Kinte roj marte hain aur iss ginti ka sabab
bante hain
Jaise logon ko sirf math main hi interest
reh gaya hai.
Yeh Kaise khalak hai yeh kaise jahan hai,
Mahaz aak number ban kar reh giya insan hai
Television lagalo to maut akk breaking news
hai
Shaid
nayi khabar se screen garam rakhne ke liye hi
lashon
ki ginti ka kam reh giya hai
Kahin koi marta hai desh Bhagat to chand
asson bhi nahin bahata koi
Uss se jaruri Netaon ko huya jukam reh giya hai
Yeh Kaise khalak hai yeh kaise jahan hai,
Mahaz aak number ban kar reh giya insan hai
Har taraf dange hain, hathyar le kar ghumte
lifnage hain,
Har ek dharmi sikhata hain marna, jindgi
lena hi kiya Khudda ke bandon ka kam reh giya hai.
Abb to “aai mare watan ke logo jara ankh
main bhar lo pani” bhi koi ankh nam nahin karti
Desh bhakti ka jaise akal pai giya hai.
Sochta agar iss tarah hi daur chalta raha
to
Bharat ki kiya Tasveer hogi
Gharon se jiyada kabron ki tamir hogi
Yeh Kaise khalak hai yeh kaise jahan hai,
Mahaz aak number ban kar reh giya insan hai
Major Gurdeep Samra