Saturday, 23 August 2014

The value of martyrs is just a number for this news and Media hungry nation

Benan- Insaan

Yeh Kaisi khalak hai yeh kaise jahan hai,
Mahaz aak number ban kar reh giya insan hai

Akhbar ke panne karte hai numberon ki bate
Nam se na koi matlab reh gaya hai

Kinte roj marte hain aur iss ginti ka sabab bante hain
Jaise logon ko sirf math main hi interest reh gaya hai.

Yeh Kaise khalak hai yeh kaise jahan hai,
Mahaz aak number ban kar reh giya insan hai

Television lagalo to maut akk breaking news hai
Shaid  nayi khabar se screen garam rakhne ke liye hi
 lashon ki ginti ka kam reh giya hai

Kahin koi marta hai desh Bhagat to chand asson bhi nahin bahata koi
Uss se jaruri Netaon ko huya  jukam reh giya hai

Yeh Kaise khalak hai yeh kaise jahan hai,
Mahaz aak number ban kar reh giya insan hai


Har taraf dange hain, hathyar le kar ghumte lifnage hain,
Har ek dharmi sikhata hain marna, jindgi lena hi kiya Khudda ke bandon ka kam reh giya hai.

Abb to “aai mare watan ke logo jara ankh main bhar lo pani” bhi koi ankh nam nahin karti
Desh bhakti  ka jaise akal pai giya hai.

Sochta agar iss tarah hi daur chalta raha to
Bharat ki kiya Tasveer hogi
Gharon se  jiyada kabron ki tamir hogi

Yeh Kaise khalak hai yeh kaise jahan hai,
Mahaz aak number ban kar reh giya insan hai





Major Gurdeep Samra

No comments:

Post a Comment